ka.ī chehroñ meñ dekhā jā rahā huuñ
zamāne kī nazar kā vāhima huuñ
ye duniyā kyā ḳhabar ab ke bachegī
maiñ apnā marsiya ḳhud likh rahā huuñ
tajassus ab nazar kā aur kyā hai
jidhar sab dekhte haiñ dekhtā huuñ
haqīqat aa.ina jānegā lekin
tirī ḳhātir sañvarnā chāhtā huuñ
kabhī bantā hai koī lafz paikar
yuuñ likhne ko musalsal likh rahā huuñ
abhī huuñ phuul par shabnam kā qatra
abhī lab par koī harf-e-duā huuñ
khulā har ek dar 'fārūq' mujh par
sahar ke vaqt chiḌiyoñ kī navā huuñ