Sajjad Baqar Rizvi

lafz jab koi na hath aaya maani ke liye

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
lafz jab koī na haath aayā ma.ānī ke liye
kyā maze ham ne zabān-e-be-zabānī ke liye
ye do-rāhā hai chalo tum rañg-o-bū kī khoj meñ
ham chale sahrā-e-dil kī bāġhbānī ke liye
zindagī apnī thī goyā lamha-e-furqat kā tuul
kuchh maze ham ne bhī umr-e-jāvedānī ke liye
maiñ bhalā ThanDī havā se kyā ulajhtā chup rahā
phuul kī ḳhush-bū bahut thī sargirānī ke liye
TuuT paḌtī thiiñ ghaTā.eñ jin kī āñkheñ dekh kar
vo bharī barsāt meñ tarse haiñ paanī ke liye
raakh armānoñ kī giilī lakḌiyāñ ehsās kī
ham ko ye sāmāñ mile sho.ala-bayānī ke liye
sham.a ho fānūs se bāhar to gul ho jā.egī
bandish-e-alfāz mat toḌo ma.ānī ke liye
do kināre hoñ to sail-e-znidagī dariyā bane
ek had lāzim hai paanī kī ravānī ke liye
aaj kyuuñ chup chup ho 'bāqar' tum kabhī mash.hūr the
dostoñ yāroñ meñ apnī ḳhush-bayānī ke liye
Top Urdushayar.com