sulagtī yaad se ḳhuuñ aT na jaa.e
dhueñ se dil kī khaa.ī paT na jaa.e
na.ī fikroñ se bhejā phaT na jaa.e
jo ġham merā hai sab meñ baT na jaa.e
sarāboñ ko jalā.e rakh ki jab tak
ye chīḳheñ mārtī shab haT na jaa.e
musalsal bārish-e-uftād sah kar
saḌak paimā.ishoñ kī kaT na jaa.e
badan kā ghar hai dīmak phailne se
ye Dar hai dil kā rauzan chaT na jaa.e
sadā-e-rañg chhū kar pāniyoñ kā
ghaTā taḳhlīqiyat kī chhaT na jaa.e
'hanīf' aayā hai tum se chāñd milne
darāzī dekho shab kī ghaT na jaa.e