kis ke ḳhayāl ne mujhe shorīda kar diyā
tanhā-shabī ko aur bhī sanjīda kar diyā
ehsās-e-nā-rasā.ī kī banjar zamīn ko
kis ke ḳhayāl-e-sabz ne bālīda kar diyā
kal ham ne tasht-e-bām pe shab-ḳhūn maar kar
bistar uchaTtī niiñd kā ḳhvābīda kar diyā
biite ġhamoñ ko aaj kī talḳhī meñ ghol kar
mustaqbil-e-hayāt ko laġhzīdā kar diyā
har roz kī na.ī na.ī ījād ne 'hanīf'
har mādan-e-qadīm ko zholīda kar diyā