gardish kī raqābat se jhagḌe ke liye thā
jo ahd mirā titlī pakaḌne ke liye thā
jis ke liye sadiyāñ ka.ī tāvān meñ dī haiñ
vo lamha to miTTī meñ jakaḌne ke liye thā
hālāt ne kī jaan ke jab dast-darāzī
har sulh kā pahlū hī jhagaḌne ke liye thā
muñh zoriyāñ kyuuñ mujh se sazā-vār thiiñ us ko
phailāo jahāñ us kā sukaḌne ke liye thā
qurbān thiiñ bālīdgiyāñ naḳhl-e-talab par
kyā josh-e-numū aap ukhaḌne ke liye thā
paanī ne jise dhuup kī miTTī se banāyā
vo dā.era-e-rabt bigaḌne ke liye thā