ehsās-e-nā-rasā.ī se jis dam udaas thā
shāyad vo us ghaḌī bhī mire aas paas thā
mahfil meñ phuul ḳhushiyoñ ke jo bāñTtā rahā
tanhā.ī meñ milā to bahut hī udaas thā
har zaḳhm-e-kohnā vaqt ke marham ne bhar diyā
vo dard bhī miTā jo ḳhushī kī asaas thā
añgḌā.ī lī sahar ne to lamhe chahak uThe
jañgal meñ varna raat ke ḳhauf o hirās thā
sūraj pe vaqt kā jo gahan lag gayā 'hanīf'
dekhā to mujh se saaya mirā nā-shanās thā