Hanif Tarin

aankhon par palkon ka bojh nahin hota

Hanif Tarin

Sambhal, Uttar pradesh, India

1951
āñkhoñ par palkoñ kā bojh nahīñ hotā
dard kā rishta apnī aan nahīñ khotā
bastī ke hassās diloñ ko chubhtā hai
sannāTā jab saarī raat nahīñ hotā
man-nagrī meñ dhūm-dhaḌakkā rahtā hai
merā maiñ jab mere saath nahīñ hotā
ban jaate haiñ lamhe bhī kitne sañgīn
vaqt kabhī jab apnā bojh nahīñ Dhotā
rishte naate TuuTe phūTe lage haiñ
jab bhī apnā saaya saath nahīñ hotā
dil ko 'hanīf' udhār nahīñ miltā jab tak
āñkhoñ kā pathrīlā dard nahīñ rotā
Top Urdushayar.com