Hanif Tarin

simaTti sham agar dard ko jagaegi

Hanif Tarin

Sambhal, Uttar pradesh, India

1951
simaTtī shaam agar dard ko jagā.egī
to sub.h nauha-e-mātūb gungunā.egī
maiñ hañs paḌūñgā to phir kasmasā uThegī fazā
havā-e-tund mirī lau jo gudgudā.egī
numū meñ mauj banegī namāzat-e-fardā
ridā-e-tīrgī jitne qadam baḌhā.egī
zamīn gā.egī aam aur jāmunoñ ke giit
barastī badlī vo sur-tāl āzmā.egī
jahāñ pe chāñd zamīñ se lipaT ke mahkegā
nashe meñ chāñdnī giit apne gungunā.egī
zamīñ sitāre falak ek hoñge gardish meñ
ruteñ vo aisī agar apne saath lā.egī
hazār buad o tafā.ut ke bāvajūd 'hanīf'
vahāñ bhī mujh se milegī jahāñ vo jā.egī
Top Urdushayar.com