Hanif Tarin

nashsha karne ka bahana ho gaya

Hanif Tarin

Sambhal, Uttar pradesh, India

1951
nashsha karne kā bahāna ho gayā
jab zarā mausam suhānā ho gayā
tujh se milnā to kujā ai jān-e-jāñ
tujh ko dekhe ab zamāna ho gayā
muḌ ke dekhā jab bhī pīchhe kī taraf
aaj dhuñdlā kal fasāna ho gayā
gulsitāñ-zāde bahut hī shaad haiñ
jab se zindāñ meñ Thikāna ho gayā
jiit haq kī zālimoñ ke vāste
ḳhuuñ bahāne kā bahāna ho gayā
sach likhūñgā chāhe miT jā.ūñ 'hanīf'
jhuuT ab merā nishāna ho gayā
Top Urdushayar.com