yuuñ to in āñkhoñ se ham ne o but kahne ko duniyā dekhī
lekin saarī ḳhudā.ī bhar terī sūrat-e-yaktā dekhī
khel ga.e kyuuñ jaañ pe 'anjum' tum ne abhī kyā duniyā dekhī
marne lage ḳhūbān-e-jahāñ par terī merī dekhā-dekhī
dard-e-jigar kam thā ki nahīñ thā ye to batā dam thā ki nahīñ thā
kah to marīz meñ kuchh bhī dekhā nabz jo tū ne masīhā dekhī
us ko bhalā kyūñkar chain aayā dil ko kyā kah kar samjhāyā
sūrat terī jis ne sitam-gar thaam ke apnā kalejā dekhī
vasl kī shab barham hī rahā vo tā-ba-sahar uljhā hī kiyā vo
bal na gayā abrū se us kī zulf bhī ham ne suljhā dekhī
vāh-re-vā ai nāla-e-sozāñ dekh lī terī ThanDī garmī
dil na pasījā us kāfir kā aag bhī tū ne bhaḌkā dekhī
us ke dil se ga.ī na kudūrat dil kī dil hī meñ rah ga.ī hasrat
ham ne jhaḌī ashkoñ kī barsoñ in āñkhoñ se barsā dekhī
ek zarā se hashr pe vaa.iz us ko Darātā allāh allāh
jis ne butoñ kī galī meñ barsoñ roz-e-qayāmat barpā dekhī
jaisī ziist hamārī guzrī dushman kī bhī yuuñ na basar ho
'anjum' hazrat-e-dil kī badaulat ham ne musībat kyā kyā dekhī