chale aao agar dam bhar ko tum to ye jaatā rahe fil-faur maraz
ki nahīñ hai ba-juz bīmārī-e-ġham mirī jaan mujhe koī aur maraz
nahīñ kahtā maiñ tum se ki chāra karo magar aa ke kabhī kabhī dekh to lo
ki samajhtā nahīñ hai tabīb koī hai tumhāre hī qābil-e-ġhaur maraz
mire īsā-dam mire be-parvā na ilaaj se mere haath uThā
nahīñ bachne kā ye marīz tirā ki hai baḌhtā chalā be-taur maraz
nahīñ is kā ta.ajjub yaaro agar mire dil meñ dard ho rah rah kar
kare ġhaflat īsī-e-daurāñ jab tū na bāñdhe kyūñ-kar daur maraz
tujhe 'anjum' dard-e-firāq bhalā kyuuñ chain se uThne baiThne de
vo masīh na jab kuchh rahm kare kare kyuuñ na jafā-o-jaur maraz