josh par apnī mastiyāñ aa.iiñ
yaad kis kī ye shoḳhiyāñ aa.iiñ
bātoñ bātoñ meñ le liyā dil ko
tumheñ kyūñ-kar ye phurtiyāñ aa.iiñ
kahīñ un ko na yaad aayā huuñ
aaj kyuuñ mujh ko hichkiyāñ aa.iiñ
donoñ aalam hue tah-o-bālā
un ko kyuuñ ḳhush-ḳhirāmiyāñ aa.iiñ
ruk rahā dam jo aa ke āñkhoñ meñ
yaad kis but kī añkhḌiyāñ aa.iiñ
baal khole nahā rahe the vo
kyā hī ghir ghir ke badliyāñ aa.iiñ
tum jo so.e to talve sahlāne
merī āñkhoñ kī putliyāñ aa.iiñ
phir lagāte ho mehñdī hāthoñ meñ
yaad phir rañg-reliyāñ aa.iiñ
josh-e-vahshat ke din phir aa pahuñche
muzhda ai dil ki beḌiyāñ aa.iiñ
paḌ gayā haath jab garebāñ par
haath do-chār dhajjiyāñ aa.iiñ
naḳhl-e-ummīd bārvar na huā
phuul aa.e na pattiyāñ aa.iiñ
maiñ ne furqat meñ aaheñ kiiñ do-chār
log samjhe ki āñdhiyāñ aa.iiñ
kal se dil ko jo kal nahīñ paḌtī
yaad kis kī kalā.iyāñ aa.iiñ
maiñ ne likkhe yahāñ se matlab-e-dil
vaañ se likh likh ke gāliyāñ aa.iiñ
ruḳh pe bosoñ ke ban ga.e haiñ nishāñ
ġhāza maliye ki jhā.iyāñ aa.iiñ
hasb-e-va.ada jo kal na aa.e tum
dil meñ lākhoñ burā.iyāñ aa.iiñ
aayā gulshan meñ jab vo sarv-e-sahī
gird phirne ko qumriyāñ aa.iiñ
apne jiine se ho ga.ī nafrat
yaad kis kī rukhā.iyāñ aa.iiñ
jī na lagnā thā hasratoñ ke baġhair
ḳhush huā dil saheliyāñ aa.iiñ
dil taḌapne lagā jo siine meñ
yaad kis but kī shoḳhiyāñ aa.iiñ
ashk-e-hasrat nikal paḌe 'anjum'
uTTho uTTho ki būñdiyāñ aa.iiñ