Mirza Asman Jah Anjum

usne aane ka jo wada kya jate jate

Mirza Asman Jah Anjum

us ne aane kā jo va.ada kyā jaate jaate
dam mirā siine meñ rukne lagā aate jaate
ḳhaak meñ mujh ko jo tum ne na milāyā na sahī
laash hī merī Thikāne se lagāte jaate
tere dīvānoñ kā dekhe to koī josh-o-ḳharosh
sū-e-mahshar bhī haiñ ik shor machāte jaate
ham to samjhe the ki nāloñ se tasallī hogī
ye to haiñ dard meñ dard aur baḌhāte jaate
saath lenā thā hameñ bhī tujhe o paik-e-sabā
ham bhī ham-rāh tire Thokareñ khāte jaate
tum ne kāñdhā na diyā laash ko merī na sahī
ek Thokar hī mirī jaan lagāte jaate
yuuñ na jaanā thā unheñ paas se uTh kar 'anjum'
koī aafat hī mire sar pe vo dhāte jaate
Top Urdushayar.com