savāl kyā karūñ tujh se gunāhgār huuñ maiñ
nigāh chaar ho kyūñ-kar ki sharmsār huuñ maiñ
ravāna rakh ki jahāñ meñ zalīl-o-ḳhvār huuñ maiñ
jo huuñ so huuñ pa tire dar kā ḳhāksār huuñ maiñ
paḌā huā huuñ butoñ kī galī meñ dil thāme
sabā sambhal ke zarā chal nahīf-o-zār huuñ maiñ
kasī se matlab-e-dil merā hal nahīñ hotā
savāl-e-mas.ala-e-jabr-o-iḳhtiyār huuñ maiñ
jafā-o-zulm us ke gilā karūñ kyūñ-kar
sitam-shi.ār hai vo aur vafā-shi.ār huuñ maiñ
tumhīñ batāo kare sabr kab talak koī
na har kasī se hañso tum na ashk-bār huuñ maiñ
isī ko kahte haiñ yā-rab nasīb kī yaarī
ki yaar vo bhī na ho aur be-dayār huuñ maiñ
vafā kā lutf mile gar hazār jāneñ hoñ
nisār tujh pe mirī jaañ hazār baar huuñ maiñ
zabāñ ho band zabāñ se agar savāl karūñ
qalam hoñ haath agar mudda.ā-nigār huuñ maiñ
ilāhī jazb-e-mohabbat meñ de asar itnā
kaleja thaam le vo bhī jo be-qarār huuñ maiñ
hazār apnī kahūñ us kī ek bhī na sunūñ
ḳhudā vo din kare us se kahīñ do-chār huuñ maiñ
maiñ mast-e-bāda-e-hubb-e-alī huuñ ai 'anjum'
kabhī bahak na sake jo vo bāda-ḳhvār huuñ maiñ