Mirza Asman Jah Anjum

gham-e-hijr ke gae din guzar hua aaKHir apna visal hi

Mirza Asman Jah Anjum

ġham-e-hijr ke ga.e din guzar huā āḳhir apnā visāl hī
pa ye kyā ġhazab hai pa.e-ḳhudā tujhe aaj tak hai malāl hī
hai anokhā us kā jamāl hī na vo badr hai na hilāl hī
nahīñ bantī koī misāl hī balaġhul-ulā-be-kamālehī
mirī aah ne ye kiyā asar ki vo aan kar hue jalva-gar
shab-e-tār-e-hijr huī sahar kashafuddujā-be-jamālehī
hai usī kī shaan meñ lā-fatā hai usī kī shaan meñ hal-atā
hai usī kī shaan meñ innamā-hasonat-jamī.o-ḳhisālehī
maiñ savāl-e-vasl huuñ kar rahā vo ye kahtā hai ki na mānūñgā
ye ajab tarah kā hai maḳhmasa ki na hijr hai na visāl hī
mujhe kis tarah na ḳhayāl ho ki na 'anjum' un ko malāl ho
kisī baat kā jo savāl ho nahīñ utnī apnī majāl hī
Top Urdushayar.com