Mirza Asman Jah Anjum

meri jaan judai na hogi to hogi

Mirza Asman Jah Anjum

mirī jaañ judā.ī na hogī to hogī
kisī din laḌā.ī na hogī to hogī
unheñ sharm hai aur yahāñ shauq-e-behad
agar hāthā-pā.ī na hogī to hogī
nahīñ itnī jur.at ki qadmoñ pe girye
ki un se safā.ī na hogī to hogī
zarā jazba-e-dil madad kar ḳhudārā
jo un tak rasā.ī na hogī to hogī
na kuchh husn o ḳhūbī meñ farq aayā hogā
ye daulat luTā.ī na hogī to hogī
rihā.ī asīr-e-mohabbat ko tere
agar maut aa.ī na hogī to hogī
na.e zulm ījād karte raho tum
jahāñ meñ duhā.ī na hogī to hogī
nahīñ baak ġhairoñ se milne meñ un ko
jo dil meñ burā.ī na hogī to hogī
har ik baat par āfrīñ jab kaheñ sab
to phir ḳhud-satā.ī na hogī to hogī
mohabbat kī jo aañkh thī aage terī
jo tū ne churā.ī na hogī to hogī
mohabbat kā gar khul gayā haal un par
to 'anjum' rukhā.ī na hogī to hogī
Top Urdushayar.com