Mirza Asman Jah Anjum

mere jaanib se use ja ja ke samjhate hain log

Mirza Asman Jah Anjum

mere jānib se use ke samjhāte haiñ log

vo nahīñ sunñe zid be-kār dilvāte haiñ log

shola-ḳhū merā sune mujh dil-jale haal kyuuñ

aag meñ aag aur bhī nāhaq lagā aate haiñ log

mere marne par unheñ kyuuñ rashk se pūchho koī

kyuuñ sar-e-bālīñ mire be-kār chillāte haiñ log

koī kahtā hai tujhe jallād koī sañg-dil

terī jānib se mujhe aa aa ke dhamkāte haiñ log

maiñ na jiitā huuñ na martā huuñ sisaktā huuñ paḌā

jhuuT sach qasmeñ tumhāre sāmne khāte haiñ log

dostī ke parde meñ karte haiñ mujh se dushmanī

tum ko phir aglī jafā.eñ yaad dilvāte haiñ log

terī mahfil meñ mirā aanā jo un ko baar hai

chheḌ kar tujh ko mujhe bāteñ sunvāte haiñ log

tum se aur va.ada vafā ho ye hameñ bāvar nahīñ

qasmeñ de kar tum ko nāhaq jhuuT bulvāte haiñ log

baaz aayā āsmāñ in havā-ḳhvāhī se maiñ

aag dil aur bhī aa aa ke bhaḌkāte haiñ log

Top Urdushayar.com