dam-e-ruḳhsat jo un se kah ke maiñ uTThā ḳhudā-hāfiz
lage jhuñjhlā ke vo kahne bahut achchhā ḳhudā-hāfiz
jo maiñ jaatā huuñ uTh kar fī-amānillāh kahtā huuñ
tire muñh se na o kāfir kabhī niklā ḳhudā-hāfiz
kahā hai kis ne tum se chūmo-chāTo jā ke patthar ko
tumhāre zāhido ab den o īmāñ kā ḳhudā hāfiz
hifāzat meñ vo dekhe ġhair kī tujh ko qayāmat hai
kabhī jo bad-gumānī se na ho kahtā ḳhudā-hāfiz
sunā hai aaj vo but ḳhuub hī ban-Than ke aatā hai
tire dil kā are o 'anjum'-e-shaidā ḳhudā hāfiz