Mirza Asman Jah Anjum

gar unhen hai apni surat par ghamanD

Mirza Asman Jah Anjum

gar unheñ hai apnī sūrat par ghamanD
ham ko hai apnī mohabbat par ghamanD
mere un ke phir bhalā kyūñ-kar bane
ḳhatm hai donoñ kī ḳhaslat par ghamanD
kyā nahīñ dekhī bulandī aah kī
kyuuñ falak kartā hai rif.at par ghamanD
kaam qārūñ ke na aayā māl-o-zar
mun.imo bejā hai daulat par ghamanD
bādshāh-e-haft-kishor hai to kyā
kar na do din kī hukūmat par ghamanD
dekh kar ā.īna mujh ko dañg hai
mujh ko bhī hai apnī hairat par ghamanD
un ko apnī sub.h-e-mahshar par hai naaz
ham ko apnī shām-e-furqat par ghamanD
chhup-chhupā kar dekh bhī leñge tumheñ
ham ko bhī hai apnī jur.at par ghamanD
kuchh nahīñ kar saktā 'anjum' aap kā
āsmāñ ko hai jo hasrat par ghamanD
Top Urdushayar.com