saare aalam meñ nuur hai terā
har jagah par zuhūr hai terā
sharq se ġharb qaaf se tā-qāf
tazkira duur duur hai terā
dil-e-āshiq ko kyuuñ jalātā hai
ye bhī kyā koh-e-tūr hai terā
maiñ kahāñ aur terā naam kahāñ
sab karam kā vafūr hai terā
shab-e-furqat ko kyuuñ darāz kiyā
kyā ye roz-e-nushūr hai terā
us sitamgar kā kyā kareñ shikva
o re dil sab qusūr hai terā
rahm kar āsmāñ pe ai baarī
banda-e-pur-qusūr hai terā
is ko kahte haiñ anjum-e-āsī
naam rabb-e-ġhafūr hai terā