saaf ham tum se aaj kitne haiñ
sab tumheñ bad-mizāj kahte haiñ
tere bīmār-e-ġham ko hai vo maraz
hukamā lā-ilāj kahte haiñ
merī dhaḌkan se vo bhī na bechain
haañ ise iḳhtilāj kahte haiñ
kyā anāsir meñ hai tarī qudrat
bas ise imtizāj kahte haiñ
hai shahādat kī aarzū qātil
dil kī ham ehtiyāj kahte haiñ
dāġh-e-saudā ne sarfarāz kiyā
ham ise apnā taaj kahte haiñ
ḳhuub paidā kiyā hai naam 'anjum'
log āshiq-mizāj kahte haiñ