yaañ kufr se ġharaz hai na islām se ġharaz
bas hai agar ġharaz to tire naam se ġharaz
aish-o-nashāt-e-zīst hai sab aap se husūl
yaañ shīshe se ġharaz hai na hai jaam se ġharaz
tum paas ho agar to barābar hai raat din
kuchh sub.h se ġharaz na hameñ shaam se ġharaz
dil pher dījiye na bigaḌiye huzūr aap
yaañ bose se ġharaz hai na dushnām se ġharaz
paḌ rahne bhar ko dījiye dar par hameñ jagah
rāhat se kuchh ġharaz hai na ārām se ġharaz
āñkheñ dilā milīñ hameñ rone ke vāste
nākāmiyoñ se kaam na hai kaam se ġharaz
'anjum' kā sher kahne se biknā murād hai
tahsīñ se kuchh ġharaz hai na ilzām se ġharaz