ham se na hogī tark-e-vafā ye aur kisī ko sunā.eñ aap
ham na suneñge hazrat-e-nāseh laakh hameñ samjhā.eñ aap
sharm-o-hayā ke parde meñ karte the ham pe jafā.eñ aap
aap ko ham pahchān ga.e muñh āñchal se na chhupā.eñ aap
zulf kā tere in se koī mazmūñ jo raqam ho jaatā hai
fart-e-ḳhushī se le letā huuñ hāthoñ kī apne bulā.eñ aap
vāh-jī vā bas dekh liyā kyā vaz.a kī hai yahī pābandī
kahte is ko haiñ sharm-o-hayā ham jaañ se jaa.eñ na aa.eñ aap
sun chuke hāl-e-pursish-e-mahshar va.az kī 'anjum' had bhī hai
ye to nahīñ hai hukm-e-ḳhudā roz ek qayāmat Dhā.eñ aap