nigah kyā aur mizha kyā ai sanam is ko bhī us ko bhī
samajhte haiñ qazā kā tiir ham is ko bhī us ko bhī
paḌe the dil ke pīchhe us ko to ġhārat kiyā tum ne
rahā ab diin o īmāñ lo sanam is ko bhī us ko bhī
agar le mol ik bose pe merā den o īmān tū
maiñ de dūñgā tire sar kī qasam is ko bhī us ko bhī
haqīqat meñ tafāvut kuchh nahīñ shaiḳh o barahman meñ
sunā hai ham ne bharte terā dam is ko bhī us ko bhī
girā detā hai āñkhoñ se mirī sumbul ho yā nāgin
tumhārī kākul-e-pechāñ kā ḳham is ko bhī us ko bhī
kabhī tevarī chaḌhānā aur kabhī muñh pher kar hañsnā
tirā āshiq samajhtā hai sitam is ko bhī us ko bhī
hamārī aabrū kyā aur dil par hausla kaisā
Dubo denā arī o chashm-e-nam is ko bhī us ko bhī
kiyā iqrār bosa dene kā diiñ gāliyāñ tum ne
faqīr-e-ishq huuñ samjhā karam is ko bhī us ko bhī
ḳhat-e-mahbūb o pā-e-nāma-bar qismat se haath aa.e
lagā āñkhoñ se 'anjum' dam-ba-dam is ko bhī us ko bhī