Mirza Asman Jah Anjum

hamein zahid jo kafir jaanta hai

Mirza Asman Jah Anjum

hameñ zāhid jo kāfir jāntā hai
to phir patthar ko tū kyuuñ māntā hai
na pūchhā us ne mujh ko kaun hai tū
huā sābit ki vo pahchāntā hai
na mujh se pher muñh kāfir ḳhudārā
are qur.ān kyuuñ gardāntā hai
kahūñ kis se ki kyā hai yaar merā
use kuchh merā jī hī jāntā hai
bahut chāhā na bolūñ yaar tujh se
magar zālim ye dil kab māntā hai
nahīñ chhalnī hamārā dil na hogā
hamārī baat kyuuñ tū chhāntā hai
na deñge jaan ham kahne pe us ke
raqīb-e-rū-siyah kyuuñ tāntā hai
bhalā kyūñ-kar use samjhā.e koī
vo kāfir kab kisī kī māntā hai
ġhazab hai chheḌnā us fitna-gar ko
ye 'anjum' dil meñ kyā tū Thāntā hai
Top Urdushayar.com