Mirza Asman Jah Anjum

bais-e-tark-e-mulaqat batao to sahi

Mirza Asman Jah Anjum

bā.is-e-tark-e-mulāqāt batāo to sahī
chāhne vaalā koī ham sā dikhāo to sahī
kaisī hotī hai mohabbat nahīñ ma.alūm tumheñ
ek do din kahīñ dil tum bhī lagāo to sahī
bevafā.ī kī hai tohmat chalo maanā ham ne
haañ bhalā ham se zarā aañkh milāo to sahī
jaan de dūñgā magar tum ko na jaane dūñgā
uTh ke pahlū se bhalā tum mire jaao to sahī
nahīñ milne kī jo marzī hai na milnā ham se
baat karnā ki na karnā magar aao to sahī
dekh lo jiite haiñ yā marte haiñ mushtāq sadā
apnī āvāz zarā un ko sunāo to sahī
har tarah bigḌe hue baiThe haiñ jaane ke liye
'āsmāñ' aaj koī baat banāo to sahī
Top Urdushayar.com