Mirza Asman Jah Anjum

ye bhi na puchha tumne anjum jita hai ya marta hai

Mirza Asman Jah Anjum

ye bhī na pūchhā tum ne 'anjum' jiitā hai yā martā hai
vāh-jī-vā āshiq se koī aisī ġhaflat kartā hai
na.ī javānī na.e-navele nādān allaḌh aur albele
sach pūchho to tum ko sāhib dil dete jī Dartā hai
pūchhte kyā ho haal hamārā jiine kā hai kaun sahārā
ro lete haiñ jī bhar bhar kar jab ġham se jī bhartā hai
un se nahīñ kuchh shikva ham ko un se nahīñ kuchh rañj-o-malāl
kis se ai dil ishq kiyā kis se chaah ko bartā hai
rote rote hijr meñ kyūñ-kar jiine se dil ser na ho
kahte haiñ tālāb bhī sāhib phevan phevan bhartā hai
mujh ko to dil dene meñ kuchh uzr nahīñ ai jān-e-jahāñ
sach to ye hai dil hī ḳhud kuchh aagā pīchhā kartā hai
sail-e-sarishk-e-ġham se 'anjum' ḳhāna-e-dil barbād na ho
dekho dekho ka.aba kī buniyād meñ paanī martā hai
Top Urdushayar.com