Mirza Asman Jah Anjum

phul jitne hain tumhaare haar mein

Mirza Asman Jah Anjum

phuul jitne haiñ tumhāre haar meñ
sab guñdhe haiñ āñsuoñ ke taar meñ
jis ne chāhā tujh ko sar-gardāñ rahā
dasht meñ koī koī kohsār meñ
dil ke TukḌe o sitamgar bāñdh le
koī ḳhanjar meñ koī talvār meñ
har jagah haiñ chāhne vaale tire
koī sahrā meñ koī gulzār meñ
hai jagah sar phoḌ lene ko bahut
kyā dharā hai aap kī dīvār meñ
tū agar dam bhar ko aa jaa.e masīh
jaan aa jaa.e tire bīmār meñ
jo bane ai charḳh vo ham par bane
par na farq aa.e tirī raftār meñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ ai 'anjum' kaTī
raat saarī intizār-e-yār meñ
Top Urdushayar.com