Mirza Asman Jah Anjum

pae-gunah hai teri panah ki taKHsis

Mirza Asman Jah Anjum

pa.e-gunāh hai terī panāh kī taḳhsīs
ki hai tujhī pe har ik dād-ḳhvāh kī taḳhsīs
jo aap samjhe haiñ mujrim hameñ to kuchh nahīñ Dar
ki kī hai aap hī ne do gavāh kī taḳhsīs
firāq-e-yār meñ be-ro.e ban nahīñ paḌtī
asar ke vāste kar dī hai aah kī taḳhsīs
na dil churāte hamārā na tum ḳhajil hote
pa.e-hijāb hai nīchī nigāh kī taḳhsīs
dikhāve aur koī apnā yaar zohra-jabīñ
jo āsmāñ nahīñ us rashk-e-māh kī taḳhsīs
pahuñch hī jaate kabhī phir phirā ke dar pe tire
ye tū ne kaahe ko kī ek raah kī taḳhsīs
tamām ḳhalq-e-ḳhudā tujh ko chāhne lagtī
lagā na detā agar tū panāh kī taḳhsīs
vo mujh se kahte haiñ tum chāhte nahīñ mujh ko
mire Dubone ko karte haiñ chaah kī taḳhsīs
hai terī zarra-navāzī kī ye dalīl adnā
ki āsmāñ ke hai ham-rāh jaah kī taḳhsīs
Top Urdushayar.com