ba-tarz-e-dilbarī be-dād kiije
jafāoñ meñ adā ījād kiije
hamārī ājizī e.ajāz ho jaa.e
payambar huuñ agar āzād kiije
ye kaisā ālam-e-bālā kā jhagḌā
ajī pahlū mirā ābād kiije
lahū mal kar shahīdoñ meñ mile haiñ
hamāre naam par bhī saad kiije
tamannā baḌh na jaa.e had se zaa.ed
hameñ shāh-e-najaf ab yaad kiije
hamārī ḳhaak se sahrā bhare haiñ
jahāñ tak chāhiye barbād kiije
ishāroñ ne to le lī jaan sāhib
zarā muñh se bhī kuchh irshād kiije
pareshān hai bahut 'anjum' ḳhudārā
shahīd-e-karbalā imdād kiije
mizāj-e-yār ho jaa.e na barham
na ai 'anjum' bahut fariyād kiije