Mirza Asman Jah Anjum

arsh o kursi ki KHabar lae hain lane wale

Mirza Asman Jah Anjum

arsh o kursī kī ḳhabar laa.e haiñ laane vaale
ek muusā hī na the tuur ke jaane vaale
tuur ko tum ne jalāyā to baḌī baat na kī
aag paanī meñ lagāte haiñ lagāne vaale
mere marqad ko bhī aa kar kabhī Thukrā jaanā
are o fitna-e-mahshar ke jagāne vaale
ek aalam tire āshiq ne kiyā ḳhāl-e-siyāh
do hī naale kiye the tuur jalāne vaale
kab talak apne karishme hameñ dikhlāoge
ai miyāñ roz na.e tarz dikhāne vaale
merī taqdīr jo palTe to ta.ajjub kyā hai
sunte haiñ bigḌī banāte haiñ banāne vaale
tum jo āñkhoñ meñ mirī aa.e to ehsān kiyā
āñkheñ kyā dil meñ samāte haiñ samāne vaale
laakh ho māna-e-fariyād magar kyā hogā
arsh ko sar pe uThā leñge uThāne vaale
apnī qismat nahīñ aisī ki ho dīdār 'anjum'
muntazir jin ke haiñ kab aa.eñ vo aane vaale
Top Urdushayar.com