kyuuñ ḳhud-baḳhud phirī nigah-e-yār kyā sabab
kyuuñ sar-nigūñ hai ābru-e-ḳham-dār kyā sabab
qismat palaT ga.ī ki nasība ulaT gayā
kyuuñ ḳhud-baḳhud phirī nigah-e-yār kiyā sabab
kyā aa gayā qarīb zamāna visāl kā
kyuuñ be-qarār hai ye dil-e-zār kyā sabab
tāqat kahāñ se aa ga.ī is nā-tavāñ meñ aaj
dam toḌtā jo hai dil-e-bīmār kyā sabab
kis se laḌī nigāh ye kis par itaab hai
hote haiñ band rauzan-e-dīvār kyā sabab
furqat kī raat roz-e-qayāmat kahīñ na ho
hotī nahīñ jo sub.h-e-shab-e-tār kyā sabab
'anjum' ga.e the un ko sunāne kī vāste
phir hāl-e-dil kiyā jo na iz.hār kyā sabab