'anjum' agar nahīñ dar-e-dildār tak pahuñch
ho jaa.e kaash rauzan-e-dīvār tak pahuñch
jaatā hai koī ka.abe ko aur koī sū-e-dair
mujh riñd kī hai ḳhāna-e-ḳhummār tak pahuñch
naale kī nā-rasā.ī ne aajiz kiyā hameñ
ho jaatī varna aap kī sarkār tak pahuñch
ye kyā hai baiThā bāteñ banātā hai duur se
iisā agar banā hai to bīmār tak pahuñch
le jā.egī bahā ke kabhī sail-e-chashm-e-tar
'anjum' kabhī to hogī dar-e-yār tak pahuñch