batā tū dil ke bachāne kī koī raah bhī hai
tirī nigāh kī nāvak-fagan panāh bhī hai
sazā ke vāste iqrār bhī gunāh bhī hai
aur ek tum sā koī dūsrā gavāh bhī hai
ḳhudā kā ghar bhī hai dil meñ butoñ kī chaah bhī hai
sanam-kada bhī hai dil apnā ḳhānqāh bhī hai
ajiib haal hai duniyā-parast logoñ kā
ma.aad kā bhī ḳhayāl aur fikr-e-jāh bhī hai
ilāhī ḳhizr kahūñ ishq ko ki ġhol-e-tarīq
ki rāhbar bhī ye hai aur sadd-e-rāh bhī hai
usī pe marte haiñ ham aur usī ko chāhte haiñ
vahī hai aalim o daanā vahī gavāh bhī hai
gale se aa ke lipaT jā ḳhudā ko maan o but
hai aaj tujh pe bhī jauban urūj-e-māh bhī hai
murād tujh se na māñgūñ to kis se māñgūñ maiñ
tikaḌ-gadā tire dar kā gadā bhī shaah bhī hai
agarche dil se huuñ banda butoñ kā maiñ lekin
zabāñ pe kalma-e-tahrīm-e-lā-ilāh bhī hai
gunāh baḳhsh de 'anjum' ke ai rahīm o karīm
ki pur-gunāh bhī hai aur uzr-ḳhvāh bhī hai
dikhā.egā kise mahshar meñ apnā muñh 'anjum'
siyāhkār bhī hai aur rū-siyāh bhī hai