Mirza Asman Jah Anjum

misal-e-charKH raha aasman sar-gardan

Mirza Asman Jah Anjum

misāl-e-charḳh rahā 'āsmāñ' sar-gardāñ
par aaj tak na khulā ye ki justujū kyā hai
yahāñ to kaam tamannā hī meñ tamām huā
magar unhoñ ne na pūchhā ki aarzū kyā hai
ye bahs kasrat o vahdat kī ham se kyuuñ vaa.iz
hamārī āñkhoñ se tū dekh chār-sū kyā hai
koī to chāhiye raḳhna umīd-vārī ko
barā.e-chāk-e-jigar hājat-e-rafū kyā hai
masal jahāñ meñ hai ''mushte namūna az-ḳhurvār''
jo haT-dharam nahīñ tum ho to haT kī ḳhū kyā hai
gavāh haiñ ye tirī bahkī bahkī bātoñ ke
ye jaam kyā hai ye mai kyā hai ye subū kyā hai
tumhāre daañt nahīñ hiire kī haiñ ye kaniyāñ
tumhāre sāmne motī kī aabrū kyā hai
Top Urdushayar.com