ḳhudā ḳhudā kar ke aa.e bhī vo to muñh lapeTe paḌe hue haiñ
na kahte haiñ kuchh na sunte haiñ kuchh kasī se jaise laḌe hue haiñ
hazār-hā mannateñ kareñge lipaT ke qadmoñ pe sar dhareñge
na jaane deñge na jaane deñge abas vo bigḌe khaḌe hue haiñ
savāl karte haiñ mujh se kyā kyā pa.e-ḳhudā mere rāhbar aa
paḌā maiñ taktā huuñ terā rasta nakīr-o-munkir khaḌe hue haiñ
rahī jo un se tumheñ kudūrat to baḌh ga.ī vahshiyoñ kī vahshat
uḌaa.ī is darja ḳhāk-e-hasrat kamar kamar tak gaḌe hue haiñ
idhar to jiine se ham haiñ aarī udhar mañgāte ho tum savārī
ye kaisī haiñ garmiyāñ tumhārī phaphūle dil meñ paḌe hue haiñ
farebī āñkheñ rasīlī chitvan adā ishāra nigāh rahzan
ye apne do tiin haiñ jo dushman nazar meñ anjum taḌe hue haiñ