Mirza Asman Jah Anjum

aaj mehndi lagae baiThe hain

Mirza Asman Jah Anjum

aaj mehñdī lagā.e baiThe haiñ

ḳhuub vo rañg laa.e baiThe haiñ

mere aate ho ga.e barham

kuchh kasī ke sikhā.e baiThe haiñ

teġh khīñchī hai qatl par mere

haath mujh se uThā.e baiThe haiñ

maiñ shikāyat jafā kartā huuñ

chupke vo sar jhukā.e baiThe haiñ

dum churā.e hue paḌe haiñ ham

vo jo bālīñ pe aa.e baiThe haiñ

imtihāñ ko kahā to bole vo

ham tumheñ āzmā.e baiThe haiñ

kas ko nazroñ se aaj utāreñge

kyuuñ vo tevarī chaḌhā.e baiThe haiñ

dekhiye kab vo sham.a-rū aa.e

shaam se lau lagā.e baiThe haiñ

Tālnā vasl jo hai manzūr

ḳhud se ḳhud muñh thūthā.e baiThe haiñ

sāda-pan meñ hazār jauban hai

baal khole nahā.e baiThe haiñ

kaun pahlū se uTh gayā 'anjum'

aap kyuuñ dil dabā.e baiThe haiñ

Top Urdushayar.com