na huī saaf tabī.at hī to hai
rah ga.ī dil meñ kudūrat hī to hai
bhā ga.iiñ dil ko adā.eñ un kī
khub ga.ī āñkhoñ meñ sūrat hī to hai
merī mayyat pe na aa.e na sahī
na huī aap ko fursat hī to hai
nahīñ kartā maiñ jafā kā shikva
aap kyā kījiye aadat hī to hai
nahīñ aatā kasī pahlū ārām
nahīñ kaTtī shab-e-furqat hī to hai
niklī qātil na tire tiir ke saath
dil hī meñ rah ga.ī hasrat hī to hai
mujh se aasī pe ye baḳhshish ye karam
banda-parvar tarī rahmat hī to hai
na Talī sar se bulā-e-furqat
paḌ ga.ī jaan pe aafat hī to hai
ham ne pherā na dil apnā tujh se
jaan de baiThe muravvat hī to hai
hashr barpā hai tarī qāmat se
ye bhī andāz-e-qayāmat hī to hai
na rahā zabt kā yaarā 'anjum'
na chhupī ham se mohabbat hī to hai