sanam hai yā ḳhudā kyā jaane kyā hai
hamārā dilrubā kyā jaane kyā hai
na sumbul hai na kaalā hai na nāgin
tarī zulf-e-rasā kyā jaane kyā hai
kasī pahlū nahīñ ārām tujh ko
tujhe ai dil huā kyā jaane kyā hai
nahīñ ma.alūm ka.aba hai ki qibla
ḳham-e-abru tirā kyā jaane kyā hai
mirā dil loge tum yā jaan loge
tumhārā indiya kyā jaane kyā hai
jafāoñ se tirī bharnā nahīñ dil
taḌapne meñ mazā kyā jaane kyā hai
hameñ to us se hai ummīd-e-baḳhshish
magar us kī razā kyā jaane kyā hai
nazar pherī nahīñ tū ne to ham se
ye phir ishva-numā kyā jaane kyā hai
tasavvur meñ jo kī haiñ band āñkheñ
dikhā.ī de rahā kyā jaane kyā hai
bhalā tū āshnā hogā kasī kā
are nā-āshnā kyā jaane kyā hai
qayāmat hai qad-e-bālā tumhārā
nigāh-e-fitna-rā kyā jaane kyā hai
nikaltā hai dhuāñ jo aah ke saath
ye ai dil jal rahā kyā jaane kyā hai
bhalā maiñ kyā use batlā.ūñ 'anjum'
vo mujh se pūchhtā kyā jaane kyā hai