na thā dil hamārā kabhī ġham se vāqif
magar ab huā aap ke dam se vāqif
ye batlāo ham ko bhī pahchānte ho
hameñ kyā jo ho saare aalam se vāqif
abas aatī hai roz ghar ghar ke badlī
nahīñ kyā mire dīda-e-nam se vāqif
unheñ hāl-e-dil kis tarah likh ke bhejeñ
na ham un se vāqif na vo ham se vāqif
dikhāyā asar aah ne apnī 'anjum'
ki hote chale haiñ vo ab ham se vāqif