uñglī figār koī na ḳhuuñ meñ qalam huā
kab ham se apne dard kā qissa raqam huā
ro.e tamām umr magar is hunar ke saath
aañsū palak pe aayā na kāġhaz hī nam huā
ghar chhoḌ aa.e aap bhī achchhā kiyā huzūr
ye to junūñ kī raah meñ pahlā qadam huā
rah rah ke sar uThātī rahīñ kitnī ḳhvāhisheñ
in bāġhiyoñ meñ sar bhī kisī kā qalam huā
dekhā thā ḳhud ko maiñ ne tujhe dekhne ke ba.ad
ye to gunāh mujh se ḳhudā kī qasam huā
hai tarz-e-guftugū bhī vahī dost bhī vahī
dushman to merī jaan kā merā bharam huā
'fārūq' ab kisī se shikāyat kareñ to kyā
ham ko hī apne hone kā ehsās kam huā