Qazi Ansar

jaan dete hain magar izhaar hum karte nahin

Qazi Ansar

jaan dete haiñ magar iz.hār ham karte nahīñ
ya.anī tash.hīr-e-salīb-o-dār ham karte nahīñ
apne dushman ko bhī lalkāreñge aa kar sāmne
pusht se chūñki kisī par vaar ham karte nahīñ
ho rahā hai har taraf turfa tamāsha roz-o-shab
umr ko ab bar-sar-e-paikār ham karte nahīñ
jab tumhāre shahr kā har zarra zarra hai aziiz
kaun kahtā hai ki tum se pyaar ham karte nahīñ
hai zamāna kuchh zamāne kī ravish kuchh aur hai
ḳhud ko rusvā yuuñ sar-e-bāzār ham karte nahīñ
naam kī apne tamannā yā sile kī aarzū
log karte haiñ magar 'ansār' ham karte nahīñ
Top Urdushayar.com