Qazi Ansar

hamari aazmaish ka agar kuchh gham nahin hoga

Qazi Ansar

hamārī āzmā.ish kā agar kuchh ġham nahīñ hogā
to phir ye silsila-dar-silsila bhī kam nahīñ hogā
zamāna kaise samjhegā ki ham par vajd hai taarī
surūr-o-kaif-o-mastī kā agar aalam nahīñ hogā
uTho phir aa rahe haiñ sab tumheñ lalkārne vaale
kisī ke haath meñ bhī amn kā parcham nahīñ hogā
ye mumkin kis tarah hogā ki apne shahr meñ logo
ḳhafā koī nahīñ hogā koī barham nahīñ hogā
hamāre paas aa.e shauq se 'ansār' vo lekin
mohabbat kī koī rut pyaar kā mausam nahīñ hogā
Top Urdushayar.com