Shaheen Siddiqui

rang-e-nazar se husn-e-tamanna nikhaar ke

Shaheen Siddiqui

Amroha, Uttar pradesh, India

rañg-e-nazar se husn-e-tamannā nikhār ke
baiThī huuñ aaj kākul-e-hastī sañvār ke
guzrī huuñ maiñ nafas kī kashākash se jis tarah
dhāroñ se laḌ rahī thī kisī ābshār ke
paañv ke ābloñ se na pūchho safar kā haal
qisse haiñ dardnāk rah-e-ḳhār-zār ke
daur-e-ḳhizāñ gayā na gayā is se kyā ġharaz
manzar jamā liye haiñ nazar meñ bahār ke
vaqt-e-sahar hai garche ujālā abhī nahīñ
ye jaal rafta rafta khuleñge ḳhumār ke
vo aa rahī hai duur se ḳhurshīd kī kiran
'shāhīn' dar khule haiñ mire intizār ke
Top Urdushayar.com