Ghazal Ansari

ab zindagi ka koi sahaara nahin raha

Ghazal Ansari

ab zindagī kā koī sahārā nahīñ rahā
sab ġhair haiñ koī bhī hamārā nahīñ rahā
aġhyār kī nazar meñ rahe misl-e-ḳhār ham
ab jiinā jāgnā bhī hamārā nahīñ rahā
subā.ī asbiyat ne khilā.e kuchh aise gul
ab bhaa.ī bhaa.ī kā bhī sahārā nahīñ rahā
ab to hamārī naav hai tuġhyāniyoñ ke beach
nazdīk-o-dūr koī kinārā nahīñ rahā
ḳhūn-e-jigar se sīñchā thā ham ne jo ik shajar
haañ ab to vo shajar bhī hamārā nahīñ rahā
chun chun ke tinke ham ne banāyā thā āshiyāñ
ye kyā ġhazab vo ghar bhī hamārā nahīñ rahā
maazī kī kuchh hasīn sī yādeñ hī rah ga.iiñ
āñkhoñ meñ aur koī nazāra nahīñ rahā
ahl-e-chaman ye kahte haiñ aage baḌhūñ 'ġhazal'
ab koī haq chaman ye tumhārā nahīñ rahā
Top Urdushayar.com