Ghazal Ansari

na fikr karna hamare dil ki na us junun ka malal rakhna

Ghazal Ansari

na fikr karnā hamāre dil kī na us junūñ kā malāl rakhnā
ye iltijā hai hamārī tum se tum apne dil ko sambhāl rakhnā
vo shām-e-ġham jo guzārī ham ne koī guzāre to jaan paa.e
kaThin hai kitnā hai kaisā mushkil uThā ke maazī meñ haal rakhnā
koī sahīfa samajh ke rakkhā tumhāre ḳhat ko chhupā ke dil meñ
mirī mohabbat ko apne dil meñ hamesha tum lā-zavāl rakhnā
tumhī ko chāhā tumhī ko puujā tumhī ko dil meñ sajā ke rakkhā
yahī hai sheva yahī vatīra nazar meñ terā jamāl rakhnā
ujālā karte tumhāre ghar meñ jo bas meñ hotā 'ġhazal' hamāre
duā hamārī hai umr saarī ḳhudī ko tum bā-kamāl rakhnā
Top Urdushayar.com