Ghazal Ansari

aisi tahrir jo aansu ki jhaDi sabit ho

Ghazal Ansari

aisī tahrīr jo aañsū kī jhaḌī sābit ho
phir tavaqqo.a ki mohabbat bhī kaḌī sābit ho
kyoñ bichhāte ho mirī raah meñ lafzī kāñTe
do vo paiġhām jo motī kī laḌī sābit ho
terī shamshīr kā shāḳh-e-gul-e-ulfat pe ho vaar
kaise mumkin ki vo phūloñ kī chhaḌī sābit ho
be-niyāzī tirī baḌhtī hī rahī roz-o-shab
terī furqat meñ koī achchhī ghaḌī sābit ho
maut aanī hai to aa jaa.e kisī din lekin
zindagī bhī kabhī rāhoñ meñ paḌī sābit ho
kaash aa jaa.e yaqīñ merī mohabbat kā tujhe
merī chāhat tirī har shai se baḌī sābit ho
ruuTh kar jab maiñ chalūñ rāh-e-adam kī jānib
raah roke tirī āvāz khaḌī sābit ho
dil meñ chāhat hai 'ġhazal' sirf tujhe paane kī
koī to vasl kī anmol ghaḌī sābit ho
Top Urdushayar.com