ġhairoñ kī bastiyoñ meñ rahne ko aa rahe haiñ
is dil ko chhoḌ kar ham duniyā banā rahe haiñ
sakhiyāñ saheliyāñ vo guzrā jahāñ laḌakpan
baiThe biThā.e ab kyoñ sab yaad aa rahe haiñ
rozī kī justujū meñ apnoñ ko chhoḌ chalnā
maazī ke saare manzar āñkhoñ pe chhā rahe haiñ
rokā thā sab ne ham ko lekin na ruk sake ham
ab ajnabī zamīñ ke dukh raas aa rahe haiñ
āñkhoñ pe chhā rahī hai barkhā ga.e dinoñ kī
guzre dinoñ ke qisse phir dil jalā rahe haiñ
miTTī kī soñdhī ḳhushbū phir yaad aa rahī hai
malhār vo rutoñ ke ḳhud ko sunā rahe haiñ
ḳhushiyoñ se ḳhud ko kitnī mahrūm kar liyā hai
pardes meñ 'ġhazal' kyoñ ham rañj uThā rahe haiñ