Sarwat Mukhtar

zindagi ke sab ubharte aur Dhalte zawiye

Sarwat Mukhtar

1991
zindagī ke sab ubharte aur Dhalte zāviye
naqsh haiñ nazroñ meñ nazroñ ke badalte zāviye
dhaḌkaneñ be-tābiyāñ pur-kaif bāñhoñ kā hisār
saañs kī hiddat se jazboñ ke pighalte zāviye
munqata.a karne lagī haiñ hosh se idrāk se
ik nazar kī vus.ateñ qauseñ machalte zāviye
rafta rafta phuul chehroñ kī chamak ko khā ga.e
jins-parvar bhūkī nazroñ ke nigalte zāviye
muddateñ tark-e-ta.alluq ko huiiñ ab bhī magar
DhūñDhtī huuñ terī jānib ko nikalte zāviye
tujh ko bhī hotā to hai tark-e-mohabbat par malāl
terī āñkhoñ meñ haiñ raqsāñ haath malte zāviye
Top Urdushayar.com