pindār-e-zohd ho ki ġhurūr-e-barhamanī
is dair-e-but-shikan meñ hai har but shikastnī
sarsar chale ki tund bagūloñ kā raqs ho
mauj-e-numū ravāñ hai to har gul shaguftanī
gul-chīn-o-gul-farosh kī ḳhātir hai fasl-e-gul
aur qismat-e-junūñ hai faqat chāk-dāmanī
dīvār-e-abr khīñchiye kirnoñ kī raah meñ
zarroñ meñ qaid kījiye sūraj kī raushnī
mauj-e-nafas se larze hai tār-e-rag-e-hayāt
phailī hai shahr-e-dil meñ vo pur-haul sansanī